apna chhoḌa hua ghar yaad aaya
ḳhuld men ḳhuld-nazar yaad aaya
kitni sadiyon ki thakan hai jaan par
ek lamhe ka safar yaad aaya
jis ke saa.e ne jalaya mujh ko
phir vo sarsabz shajar yaad aaya
haath men chand ki miTTi le kar
kitne firqon ka safar yaad aaya
ham hue apni nazar men jhuTe
us ka paiman-e-nazar yaad aaya
us se ab ḳhvab ka rishta bhi ghalat
sar jhaTak de vo agar yaad aaya
kya na sabit thi miri ḳhush-hunari
kyuun tira husn-e-nazar yaad aaya
phir rag-o-pai ki faza hai bojhal
phir bagulon ka safar yaad aaya
muddaton jis ki parastish ki thi
phir vo abad khanDar yaad aaya
the unhi ankhon men sapne kitne
apna aghaz-e-safar yaad aaya
raat yuun ghaas ki ḳhushbu lipTi
niind hi aa.i na ghar yaad aaya
jam ga.e miil ke patthar ki tarah
kya sar-e-rahguzar yaad aaya
phir hai ‘shahin’ ghazal raz-e-chaman
phir koi soḳhta-par yaad aaya
Leave a Reply