anjam-e-vafa bhi dekh liya ab kis liye sar ḳham hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai
mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se baḌh kar tahzib ka sangam hota hai
kuchh ma-o-shuma men farq nahin kuchh shah-o-gada men bhed nahin
ham bada-kashon ki mahfil men har jaam ba-kaf jam hota hai
divanon ke jubba-o-daman ka uḌta hai faza men jo TukḌa
mustaqbil-e-millat ke haq men iqbal ka parcham hota hai
mansur jo hota ahl-e-nazar to da.ava-e-batil kyuun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai
ta-chand ‘suhail’ afsurda-e-gham kya yaad nahin tariḳh-e-haram
iman ke jahan paḌte hain qadam paida vahin zamzam hota hai
Leave a Reply