chehron pe likha hai koi apna nahin milta
kya shahr hai ik shaḳhs bhi jhuTa nahin milta
chahat ki qaba men to badan aur jalenge
sahra ke shajar se koi dariya nahin milta
main jaan gaya huun tiri ḳhushbu ki raqabat
tu mujh se mile to gham-e-duniya nahin milta
zulf-o-lab-o-ruḳhsar ke aazar to bahut hain
TuuTe hue ḳhvabon ka masiha nahin milta
main apne ḳhayalon ki thakan kaise utarun
rangon men koi rang bhi gahra nahin milta
Duube hue suraj ko samundar se nikalo
sahil ko jalane se ujala nahin milta
Leave a Reply