• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Karobar-E-Ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi

Karobar-E-Ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi

dil na tha to tangi-e-fursat kabhi aisi na thi

yaas se virani-e-hasrat kabhi aisi na thi

dil men sannata na tha vahshat kabhi aisi na thi

un ke vaade par hamen jiina pada hai hashr tak

varna tulani shab-e-furqat kabhi aisi na thi

dekh daale zindagi men vasl-o-furqat ke tilism

gham kabhi aisa na tha rahat kabhi aisi na thi

aap ne bimar-pursi ki to jiina hai vabal

varna marne ki mujhe hasrat kabhi aisi na thi

ba-maza hai kis qadar inkar un ka vasl men

tujh men ai khun-e-jigar lazzat kabhi aisi na thi

dil ko kya samjha diya naumidi-e-javed ne

parda-dar-e-gham shab-e-furqat kabhi aisi na thi

zindagi ki kashmakash se mar ke paai kuchh najat

is se pahle ai ‘nazar’ fursat kabhi aisi na thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se

Purane Doston Se Ab Murawwat chhoD Di Humne

Wo Jo Mujhse KHafa Nahin Hota

poet

Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi

surKHiyan Kyun DhunDh Kar Laun Fasane Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet