andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai
kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai
vo jitni duur ho utna hi mera hone lagta hai
magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai
kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par
mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai
mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki
yahi sab dekhta hai aur ‘kabira’ rone lagta hai
samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat
parae kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai
ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin
jab apni raah chalta hai akela hone lagta hai
Leave a Reply