andhera miTta nahin hai miTana paḌta hai
bujhe charagh ko phir se jalana paḌta hai
ye aur baat hai ghabra raha hai dil varna
ghamon ka bojh to sab ko uThana paḌta hai
kabhi kabhi to in ashkon ki aabru ke liye
na chahte hue bhi muskurana paḌta hai
ab apni baat ko kahna bahut hi mushkil hai
har ek baat ko kitna ghumana paḌta hai
vagarna guftugu karti nahin ye ḳhamoshi
har ik sada ko hamen chup karana paḌta hai
ab apne paas to ham ḳhud ko bhi nahin milte
hamen bhi ḳhud se bahut duur jaana paḌta hai
ik aisa vaqt bhi aata hai zindagi men kabhi
jab apne saa.e se pichha chhuḌana paḌta hai
bas ek jhuuT kabhi aa.ine se bola tha
ab apne aap se chehra chhupana paḌta hai
hamare haal pe ab chhoḌ de hamen duniya
ye baar baar hamen kyuun batana paḌta hai
Leave a Reply