ana ka naaz labada utaar kar dekho
kisi ke vaste ye jang haar kar dekho
zarur hoga koi as-pas sham.a-ba-dast
andheri raat sahi tum pukar kar dekho
adu ka saath nibha kar to tum ne dekh liya
hamare saath bhi kuchh din guzar kar dekho
hamara chand bhi kuchh kam nahin tum apna chand
bulandiyon se zamin par utaar kar dekho
agarche aata nahin vo kisi ke kahne men
tum apne Dhang se koshish to yaar kar dekho
Leave a Reply