• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Alawa Jalwa-E-Mani Ke Kul Jahan Dekha

Alawa Jalwa-E-Mani Ke Kul Jahan Dekha

alava jalva-e-ma.ani ke kul jahan dekha

jo chiiz dekhne ki thi use kahan dekha

chhupa.e rakha hamesha nigah-e-gulchin se

na dekhne ki tarah su-e-ashiyan dekha

ye yaad hai ki mulaqat to hui thi kahin

magar ye yaad nahin hai tumhen kahan dekha

qafas men niind bhi kaise fareb deti hai

khuli jo aankh to gulshan na ashiyan dekha

zamin ke zulm bhi bardasht ham ne hans ke kiye

tira bhi dabdaba ai jaur-e-asman dekha

hazaron zaḳhm the insaniyat ki mayyat par

tamam daman-e-fitrat ko ḳhun-chakan dekha

jo log hifz zaban ki zaban dete the

to ‘qaisar’ un ko hi gharat-gar-e-zaban dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Is Tawaqqo Pe Ki dekhun Kabhi Aate Jate

Dil Ka Gulab Maine Jise Chum Kar Diya

Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein

Sarhad-E-Jalwa Se Jo Aage Nikal Jaegi

afroz-alam

Takhliq

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet