• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Alam Maal Agar Hai to Phir KHushi Kya Hai

Alam Maal Agar Hai to Phir KHushi Kya Hai

alam ma.aal agar hai to phir ḳhushi kya hai

koi saza hai gunahon ki zindagi kya hai

hamen vo yuun bhi bil-aḳhir miTa.enge yuun bhi

sitam ke ba.ad karam bhi to hai abhi kya hai

nizam-e-bazm-e-do-alam hai intishar-agin

nigah-e-dost men asar-e-barhami kya hai

kisi maqam pe bhi mutma.in nahin nazren

ziyan hai zauq-e-tajassus ka agahi kya hai

namaz-e-ishq jo shamil nahin ibadat men

fareb-e-kufr sarasar hai bandagi kya hai

badal ga.i na agar baghban ki niyyat hi

chaman ka rang badalne men der hi kya hai

guzar ga.i hai shab-e-gham yaqin nahin aata

sahar numud nahin hai to raushni kya hai

mata-e-husn-e-do-alam se bhi siva kahiye

qamar-jamal hai tasvir aap ki kya hai

jo sehr-e-husn ki tasir ka nahin qaa.il

tiri nazar se vo puchhe ki sahiri kya hai

kisi ka husn kahan apna zauq-e-did kahan

kisi ke jalvon se nazron ki hamsari kya hai

qadam qadam pe diya hai fareb rahbar ne

jo rahbari use kahiye to rahzani kya hai

hamare dil pe uchaTti nazar hi Daal kahin

tujhe ḳhabar to chale soz-e-ashiqi kya hai

hamin ne dil men jagah di hamen pe mashq-e-sitam

ye dosti hai to ai dost dushmani kya hai

bahar aa.i hai ab aap bhi chale aa.en

bahar ko bhi ḳhabar ho shaguftagi kya hai

vafa ka naam baḌa ho to ho ‘rishi’ varna

jafa-e-dost men bhi lutf ki kami kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har Ek sans Ke Pichhe Koi Bala Hi Na Ho

Wae-Taqdir Kya Ye Alamiya Nahin

Dahakti KHwahishon Mein Jal Raha Hun

beena-goindi

Jise Nazron Ki Surat Apni Aankhon Mein Basaya Tha

Aap Apni Zat Mein simTa Hua Aalam Tamam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet