aks har roz kisi gham ka pada karta hai
dil vo aina ki chup-chap taka karta hai
bahte paani ki tarah dard ki bhi shakl nahin
jab bhi milta hai naya ruup hua karta hai
main to bahrup huun us ka jo hai mere andar
vo koi aur hai jo mujh men jiya karta hai
rang sa roz bikhar jaata hai divaron par
kuchh diye jaisa dariche men jala karta hai
jaane vo kaun hai jo raat ke sannate men
kabhi rota hai kabhi khud pe hinsa karta hai
roz rahon se guzarta hai sadaon ka julus
dil ka sannata magar roz badha karta hai
Leave a Reply