‘aḳhtar’ ko to riye men bhi hai aar kya kare
baiTha hua hai der se be-kar kya kare
yak hujum-e-dard aur aur e tamam
dil zer par laga.e hai minqar kya kare
tariḳh ki rahi hai ki miTta nahin hai zulm
muḳhtar-e-kul bata tira sansar kya kare
khinche hai sab ko dast-e-fana ek sa to phir
ek sada-lauh kare yahan ayyar kya kare
koi nahin hai mujh ko hunar rozgar ka
juz ḳhaksar midhat-e-sarkar kya kare
jo saari ka.enat ki fitrat ka ho amiin
har tajarbe ka jo ho ḳharidar kya kare
ji muztarib hai hiddat-e-qil-o-maqal men
DhunDe hai koi saya-e-divar kya kare
shahron men meri ḳhaak aḌe misl-e-bu-e-gul
be-shama hai ḳhalq-e-tarah-dar kya kare
maula madad ki main huun azadar-e-al-e-u
aaqa tire baghair gunahgar kya kare
Leave a Reply