ajiib khauf hai jazbon ki be-libasi ka
javaz pesh karun kya main is udasi ka
ye dukh zaruri hai rishte khala-pazir hue
ada hua hai magar qarz khud-shanasi ka
na khvab aur na khauf-e-shikast-e-khvab raha
sabab yahi hai nigahon ki be-harasi ka
koi hai apne siva bhi masafat-e-shab men
sahar jo ho to khule raaz khush-qayasi ka
vo sail-e-ashk simatne laga hai sheron men
jise mila na koi rasta nikasi ka
Leave a Reply