ajab bhuul o hairat jo makhluq ko hai
khuda ki talab shirk ki justuju hai
sharab-e-mohabbat men makhmur huun main
piyala bhara hai mulabbab subu hai
pata ek ka do men kyuun kar milega
jo kasrat fana ho to khud tu hi tu hai
nahin ghair koi tashakhkhus ka parda
man-o-tu faqat ghair ki guftugu hai
hai khud aap maujud har yak sifat se
judai nahin is men kuchh mu-ba-mu hai
sifat bast-o-qabiz ki tukhm-o-shajar hai
jo bu hai so gul hai jo gul hai so bu hai
vo pir-e-tariqat hai kamil usi ko
khuda is ke har aan men ru-ba-ru hai
vajud ek hai surat us ki mughayyar
hai jalva usi ka na main aur tu hai
tu ‘markaz’ hai aalam men paida-o-zahir
banaya banata hai jo kuchh ki tu hai
Leave a Reply