aise raste pe aa gaya huun main
jaise patthar koi hai ya huun main
us ne puchha hayat ka qissa
kya bata.unga sochta huun main
vaqt ghaḌiyon ke darmiyan hai kahin
saare mehvar pe ghumta huun main
mujh se puchho na majra dil ka
reza-reza juda juda huun main
mujh se kahti hai meri ḳhamoshi
shor karta huun chiḳhta huun main
ab to ik naam hai zamane men
ab to naqshe pe aa gaya huun main
mere andar hazar-ha chehre
kitna marbut aa.ina huun men
ishq karta hai apni man-mani
tum samajhte ho sar-phira huun main
kis ne mujh ko ‘adam’ pukara hai
kis ka lahja hai dekhta huun main
Leave a Reply