aisa dikha hai ham ko nazara ka.i dafa
us ne kiya hai ham se kinara ka.i dafa
har baar mushkilon ne sataya mujhe magar
maan ne diya hai mujh ko sahara ka.i dafa
ek baar maar dete to qissa tamam tha
par us ne mujh ko hijr men maara ka.i dafa
ik baar bhi palaT ke na dekha miri taraf
chilla ke ham ne un ko pukara ka.i dafa
ik baar dekhne se kahan bhar raha hai dil
un se kaho ki dekhen dobara ka.i dafa
aansu firaq dard-e-jigar be-qarariyan
un ke liye kiye hain gavara ka.i dafa
‘haidar’ ki zindagi ko mayassar sahar nahin
hone ko ho raha hai savera ka.i dafa
Leave a Reply