ai vasl kuchh yahan na hua kuchh nahin hua
us jism ki main jaan na hua kuchh nahin hua
tu aaj mere ghar men jo mehman hai iid hai
tu ghar ka mezban na hua kuchh nahin hua
kholi to hai zaban magar is ki kya bisat
main zahr ki dukan na hua kuchh nahin hua
kya ek karobar tha vo rabt-e-jism-o-jan
koi bhi raegan na hua kuchh nahin hua
kitna jala hua huun bas ab kya bataun main
aalam dhuan dhuan na hua kuchh nahin hua
dekha tha jab ki pahle-pahal us ne aina
us vaqt main vahan na hua kuchh nahin hua
vo ik jamal jalva-fishan hai zamin zamin
main ta-ba-asman na hua kuchh nahin hua
main ne bas ik nigah men tai kar liya tujhe
tu rang-e-bekaran na hua kuchh nahin hua
gum ho ke jaan tu miri aghosh-e-zat men
be-nam-o-be-nishan na hua kuchh nahin hua
har koi darmiyan hai ai majra-farosh
main apne darmiyan na hua kuchh nahin hua
Leave a Reply