ai subh main ab kahan raha huun
khvabon hi men sarf ho chuka huun
sab mere baghair mutmain hain
main sab ke baghair ji raha huun
kya hai jo badal gai hai duniya
main bhi to bahut badal gaya huun
go apne hazar naam rakh luun
par apne siva main aur kya huun
main jurm ka e’tiraf kar ke
kuchh aur hai jo chhupa gaya huun
main aur faqat usi ki khvahish
akhlaq men jhuut bolta huun
ik shakhs jo mujh se vaqt le kar
aaj aa na saka to khush hua huun
har shakhs se be-niyaz ho ja
phir sab se ye kah ki main khuda huun
charke to tujhe diye hain main ne
par khuun bhi main hi thukta huun
roya huun to apne doston men
par tujh se to hans ke hi mila huun
ai shakhs main teri justuju se
be-zar nahin huun thak gaya huun
main shaam o sahar ka naghma-gar tha
ab thak ke karahne laga huun
kal par hi rakho vafa ki baten
main aaj bahut bujha hua huun
Leave a Reply