• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Subh-E-Umid Der Kya Hai

Ai Subh-E-Umid Der Kya Hai

ai sub.h-e-umid der kya hai

ab kitne diyon ka fasla hai

ab kitni hai der raushni men

ab kitni shabon ka marhala hai

ham hijr ki raat ke musafir

is dasht se ham ko kya mila hai

vo ḳhvab to jal-bujhe hain saare

vo ḳhema to raakh ho chala hai

ab kaise charagh kya charaghan

jab saara vajud jal raha hai

bahar bhi vahi faza hai saari

indar bhi mire vahi ḳhala hai

ik dil hai aur itni qatl-gahen

jo raah chalo vo karbala hai

vo daur hai ye ki sunne vaala

har lafz ko chhu ke dekhta hai

itne jo azaab utar rahe hain

is shahr ko kis ki bad-dua hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jo Samna Bhi Kabhi Yar-E-Khub-Ru Se Hua

Mohabbat Wo Maraz Hai Jis Ka Chaara Ho Nahin Sakta

sabiha-saba-1

Jaan Gae To Man Liya

In Makanon Se Bahut Dur Bahut Dur Kahin

poet

Meri Iza Mein Khushi Jab Aap Ki Pate Hain Log

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet