• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat di Hai

Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat di Hai

haidar-ali-aatish

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai

tegh be-ab hai ne bazu-e-qatil kamzor

kuchh giran-jani hai kuchh maut ne fursat di hai

is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ai gardun

na nishan mujh ko diya hai na tu naubat di hai

saanp ke kaate ki lahren hain shab-o-roz atin

kakul-e-yar ke saude ne aziyyat di hai

aai iksir ghani dil nahin rakhti aisa

khaksari nahin di hai mujhe daulat di hai

shama ka apne fatila nahin kis raat jala

amal-e-hub ki bahut ham ne bhi davat di hai

jism ko zer zamin bhi vahi pahuncha dega

ruuh ko jis ne falak sair ki taqat di hai

furqat-e-yar men ro ro ke basar karta huun

zindagani mujhe kya di hai musibat di hai

yad-e-mahbub faramosh na hove ai dil

husn-e-niyyat ne mujhe ishq se neamat di hai

gosh paida kiye sunne ko tira zikr-e-jamal

dekhne ko tire, ankhon men basarat di hai

lutf-e-dil-bastagi-e-ashiq-e-shaida ko na puchh

do jahan se is asiri ne faraghat di hai

kamar-e-yar ke mazmun ko bandho ‘atish’

zulf-e-khuban si rasa tum ko tabiat di hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tumhein Aisa Be-Rahm Jaana Na Tha

kaTta Hai Waqt Kaise Bata Dun Janab Ka

Muddaton Baad Jo Hum Shahr Mein Kal Aae Hain

poet

Wafa Ke Bab Mein Kar-E-suKHan Tamam Hua

tanveer-anjum

Shahron Ke Sare Jangal Gunjaan Ho Gae Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet