ai qalandar aa tasavvuf men sanvar kar raqs kar
ishq ke sab ḳharzaron se guzar kar raqs kar
aql ki vus.at bahut hai ishq men fursat hai kam
aql ki ayyariyon ko darguzar kar raqs kar
dar-ba-dar kyuun DhunDhta phirta hai nadida sanam
apne dil ke aa.ine par ik nazar kar raqs kar
ye jahan ik mai-kada kam-zarf hai saaqi tira
is ḳharabe se pare sham-o-sahar kar raqs kar
rustam-o-dara sikandar mil ga.e sab ḳhaak men
ban ke sarmad zindagi apni basar kar raqs kar
is zamin par jism-e-ḳhaki zehn-o-dil ho arsh par
yuun kabhi ‘zakir’ riyazat men bikhar kar raqs kar
Leave a Reply