
Moid Rahbar
ai ghazal teri nazar jab se utari ham ne
rakh diya naam tira raj-kumari ham ne
is liye gham ko bana rakkha hai apna sathi
tujh ko de di hai ḳhushi saari ki saari ham ne
dil ke jazbat zamane ko batane ke liye
sher-goi ka safar rakkha hai jaari ham ne
dard-e-furqat men na so paoge ab chain se tum
niind ankhon se chura li hai tumhari ham ne
jo kaha tujh se akele men kaha ai zalim
aabru kab tiri mahfil men utari ham ne
naqd hai ishq ka sauda ye hua jab ma.alum
is men rakkhi hi nahin koi udhari ham ne
hain kahan jin pe adab ka tha kabhi dar-o-madar
ab to stage pe dekhe hain madari ham ne
ye haqiqat hai tumhen koi nahin puchhega
kya karoge jo kabhi toḌ di yaari ham ne
un se bichhḌe hain to phir niind na aa.i ‘rahbar’
taare gin gin ke har ik raat guzari ham ne

Leave a Reply