ai gard-bad tarf-e-chaman tuk guzar kar
bulbul ke par pade hain gulon par nisar kar
aae the aish ke liye so tu na yaan mila
phir gham-kada ko uth chale ham apne haar kar
kya muskura ke taale hai ab phir kab aaega
dil be-qarar hota hai kuchh to qarar kar
daghon se dil ke siina to hai rashk-e-lala-zar
haan ashk-e-surkh tu bhi to apni bahar kar
dhajji bhi ek chhodi na daman-o-jeb ki
dast-e-junun ne luuta mujhe taar taar kar
vo bhi na aaya aur nazar aane se rah gaya
dekha maza na aur dil ab intizar kar
be-chiz to nahin ye ‘hasan’ us gali men roz
ja ja ke baat karte har ik se pukar kar
Leave a Reply