• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ai dida-E-Giryan Kya Kahiye Is Pyar-Bhare Afsane Ko

Ai dida-E-Giryan Kya Kahiye Is Pyar-Bhare Afsane Ko

qateel-shifai

ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko

ik shama jali bujhne ke liye ik phuul khila murjhane ko

main apne pyaar ka diip liye afaq men har-su ghuum gaya

tum duur kahin ja pahunche the akash pe ji bahlane ko

vo phuul se lamhe bhari hain ab yaad ke nazuk shanon par

jo pyaar se tum ne saunpe the aghaz men ik divane ko

ik saath fana ho jaane se ik jashn to barpa hota hai

yuun tanha jalna thiik nahin samjhae koi parvane ko

main raat ka bhed to kholunga jab niind na mujh ko aaegi

kyuun chand sitare aate hain har raat mujhe samjhane ko

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sahir-ludhianvi

Jo Lutf-E-Mai-Kashi Hai Nigaron Mein Aaega

afeef-siraj

Kab Se Mang Rahe Hain Tum Se

poet

Lutf Se Tere Siwa Dard Mahak Jata Hai

Ibraton Ke Har Ek Bayan Mein Hun

talKHi-E-Gham Mere Ehsas Ka Sarmaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet