• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ahwal Mera Puchhne Aate Bhi Nahin Hain

Ahwal Mera Puchhne Aate Bhi Nahin Hain

poet

ahval mira puchhne aate bhi nahin hain

kis haal men ḳhud hain ye batate bhi nahin hain

vaise to basate hi nahin dil men kisi ko

par jis ko basaya hai bhulate bhi nahin hain

ham milte nahin un se ye un ko hai shikayat

aur ḳhud vo mohabbat se bulate bhi nahin hain

chahe na bulana to na bulva.e vo lekin

yuun ḳhud se magar duur bhagate bhi nahin hain

dil se main kiya karta huun un logon ki izzat

jo nekiyan karte hain jatate bhi nahin hai

un ko bhi sada mujh se mohabbat ka hai da.ava

honTon pe mira naam jo laate bhi nahin hain

jin taur tariqon ko vafa kahte hain ab log

vo taur tariqe hamen aate bhi nahin hain

bas dard ke tanha.i ke ashkon se siva ab

ashiq yahan kuchh aur to paate bhi nahin hain

jis tarah ke ahbab ḳhuda ne diye ‘haidar’

aise mire rishte mire naate bhi nahin hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Liye to Phir Koi Mera Nahin Hua

qateel-shifai

Be-Khudi Mein Pahlu-E-Iqrar Pahle To Na Tha

ahmad-ameer-pasha

Nahin Kuchh Masala Hum Ko Gharon Ka

rakhshan-hashmi

diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya

ajay-sahaab

Mere Zakhmon Meri Ruswai Ko Wapas Le Le

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet