ahl-e-jahan ke milne se ham ehtiraz kar
baithe hain gosha-gir ho is dil se saaz kar
surat usi ki hai mutajalli har ek men
dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baaz kar
sajda jise karen hain har-su hai jalva-gar
jidhar tira mizaj ho udhar namaz kar
go asman par bhi uda tu to kya hua
main kaun huun kahan huun ye bhi imtiyaz kar
kal ek pal bhi tu na thama us ke ru-ba-ru
ai ashk kya mila tujhe ifsha-e-raz kar
‘joshish’ ho jab talak ki haqiqat se tujh ko raah
tab tak barae-shughl tu sair-e-majaz kar
Leave a Reply