ahbab hain kyuun dang mujhe hi nahin ma.alum
kis se hai miri jang mujhe hi nahin ma.alum
tabani-e-jazbat men aa.i hai kami kya
phika hai kyuun har rang mujhe hi nahin ma.alum
muddat se main jo daagh miTane men laga huun
kahte hain use zang mujhe hi nahin ma.alum
din raat yuun karta hai mujhe kaun muqayyad
kyuun kar hai zamin tang mujhe hi nahin ma.alum
ab kaun mire sar ko banata hai nishana
kis haath men hai sang mujhe hi nahin ma.alum
har lafz ka mafhum badal jaata hai ‘rahat’
kaisi hai ye farhang mujhe hi nahin ma.alum
Leave a Reply