afsos tiri yaad ne rasta nahin badla
varna to mire gaanv men kya kya nahin badla
jo mom ka putla tha vo pighla nahin ab tak
jo aag ka dariya tha vo dariya nahin badla
mausam ki tarah roz badalna nahin aata
bachpan se isi vaste chehra nahin badla
ab tak vo mire ḳhuun ka pyasa hai mira yaar
ab tak mire dushman ka vo lahja nahin badla
manzil se bichhaḌ ja.enge manzar se nikal kar
so ham ne yahi soch ke rasta nahin badla
jaise tu badalne ka mujhe soch raha tha
ab tak to miri jaan main vaisa nahin badla
Leave a Reply