abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanvar luun
mira lafz lafz ho aina tujhe aaine men utaar luun
main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
zara thahar ja isi mod par tere saath shaam guzar luun
agar asman ki numaishon men mujhe bhi izn-e-qayam ho
to main motiyon ki dukan se tiri baliyan tire haar luun
kahin aur baant de shohraten kahin aur bakhsh de izzaten
mire paas hai mira aina main kabhi na gard-o-ghubar luun
kai ajnabi tiri raah men mire paas se yuun guzar gae
jinhen dekh kar ye tadap hui tira naam le ke pukar luun
Leave a Reply