abhi havas ke hazaron bahane zinda hain
na.i ruton men shajar sab purane zinda hain
faza-e-mehr-o-mohabbat ki dagh-dari ko
dhuan ugalte hue kar-ḳhane zinda hain
mujaviran-e-tamanna to mar ga.e kab ke
darun-e-jism ka.i astane zinda hain
javaz koi nahin hijraton se bachne ka
ham is dayar men kis ke bahane zinda hain
ajab tilism hai jangal ke un daraḳhton ka
parinde mar bhi chuke ashiyane zinda hain
khuda.iyon men milega gada-e-ishq ka taaj
sar-zamin to havas ke zamane zinda hain
Leave a Reply