abas hai raaz ko paane ki justuju kya hai
ye chak-e-dil hai use hajat-e-rafu kya hai
ye aaine hain ki ham-chehra lashkaron ki safen
ye aks aks koi surat-e-adu kya hai
mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb
mira tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai
main ek halqa-e-be-samt apne markaz par
ye shash-jahat hain kaise ye char-su kya hai
ye lahm o khuun ke kinae ye zehn ke uslub
mire vajud ka pairaya-e-numu kya hai
ye asman se rag-e-jan tak ek sargoshi
sukut-e-shab ka ye andaz-e-guftugu kya hai
ye rahguzar-e-nafas tangnae-mayusi
magar ye vusat-e-daman-e-arzu kya hai
hisar-e-jism o tilism-e-qaba aziiz magar
nikal bhi aao miri jaan kabhu kabhu kya hai
khayal kya hai jo alfaz tak na pahunche ‘saz’
jab aankh se hi na tapka to phir lahu kya hai
Leave a Reply