ab zindagi ro ro ke guzarenge nahin ham
ye bojh to hai bojh utarenge nahin ham
tum ḳhud hi agar lauT ke aa jaao to behtar
hargiz tumhen is baar pukarenge nahin ham
ik ishq ki baazi hi to ham haare hain us se
ai rah-e-talab hausla harenge nahin ham
ye gesu-e-hasti ke sanvarne ki ghaḌi hai
ab gesu-e-janan ko sanvarenge nahin ham
DhunDenge har ik chiiz men jiine ki umangen
dil ki kisi ḳhvahish ko bhi marenge nahin ham
Leave a Reply