ab vo karam karen ki sitam main nashe men huun
mujh ko na koi hosh na gham main nashe men huun
siine se bojh un ke ghamon ka utaar ke
aaya huun aaj apni javani ko haar ke
kahte hain dagmagate qadam main nashe men huun
vo bevafa hai ab bhi ye dil manta nahin
kambakht na-samajh hai unhen janta nahin
main aaj tod dunga bharam main nashe men huun
fursat nahin hai rone-rulane ke vaste
aae na un ki yaad satane ke vaste
is vaqt dil men dard hai kam main nashe men huun
Leave a Reply