ab to yuun lab pe mire harf-e-sadaqat aa.e
na-gahan shahr pe jaise koi aafat aa.e
maslahat ho ga.i mamnua shajar ki surat
laakh rokun magar us par hi tabi.at aa.e
daḳhl ḳhushiyon ka miri ziist men kaise ho ki jab
tera gham bhi gham-e-dauran ki badaulat aa.e
jis pe main chhap sakun sikka-e-ḳhud-muḳhtari
zindagi men koi aisi bhi to saa.at aa.e
raat bhar dhota huun taron ki nadi men ankhen
tab kahin ja ke nazar sub.h ki surat aa.e
barf halat ki ban jaa.e na poshak-e-hayat
itni to teri tamanna men hararat aa.e
vus.at-e-lamha pe rakhta huun nigahen ‘ruhi’
kyuun na tahrir men farda ki ibarat aa.e
Leave a Reply