ab to kuchh aisa lagta hai
saara jag mujh se chhota hai
ankhen bhi miri bojhal bojhal
shanon par bhi kuchh rakkha hai
katib-e-vaqt ne jaate jaate
chehre par kuchh likh sa diya hai
aine men chehra khole
dekh rahi huun kya likhkha hai
likhkha hai tire ruup ka haala
aur kisi ke gird saja hai
likhkha hai zulfon ka do-shala
aur kisi ne odh liya hai
likhkha hai ankhon ka piyala
kahin kahin se tuut raha hai
padh kar mushaf-e-rukh ki ibarat
dil ko itminan hua hai
ruuh talak sarshar hai meri
aina hairan hua hai
us ko shayad ilm nahin hai
mera daman ab bhi bhara hai
jo rakhna tha rakkhe hue huun
jo dena tha baant diya hai
Leave a Reply