Ab to Dil O Dimagh Mein Koi KHayal Bhi Nahin

ab to dil o dimāġh meñ koī ḳhayāl bhī nahīñ

apnā junūn bhī nahīñ us kā jamāl bhī nahīñ

us se bichhaḌ ke ziist meñ ye hī gila rahā mujhe

us se judā bhī huuñ magar jiinā muhāl bhī nahīñ

ishq kī jañg meñ miyāñ ye hī usuul hai bajā

haath meñ us ke teġh ho aap ke Dhaal bhī nahīñ

mujh ko kahīñ milī nahīñ koī bhī rāh-e-pur-sukūñ

samt-e-junūb bhī nahīñ samt-e-shumāl bhī nahīñ

mere badan pe thā kabhī us ke badan kā pairahan

aaj balā kā hijr hai jism pe shaal bhī nahīñ

ye bhī kamāl hī to hai qābil-e-dād sāhibān

aaj kalām-e-‘jashn’ meñ koī kamāl bhī nahīñ

Leave a Comment