ab na bahal sakega dil ab na diye jalaiye
ishq-o-havas hain sab fareb aap se kya chhupaiye
us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke
main ne kaha ki chhodiye ab unhen bhuul jaiye
kaise nafis the makan saaf tha kitna asman
main ne kaha ki vo saman aaj kahan se laiye
kuchh to suragh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka
sang-e-jamal-e-yar par naqsh koi banaiye
koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men
ham-nafsan-e-shoala-khu aag nai jalaiye
Leave a Reply