ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala
dhuup aisi hai ki saa.e se bhi pairahan jala
chhin lo ehsas mujh se chhin lo mera shu.ur
is ghaTa men tan phunka is raushni se man jala
zindagi dasht-e-sarab aur sar pe ik suraj muhit
main to main huun mere saa.e ka bhi sab tan man jala
kis sada ki zarb se TuuTa sukut-e-sang-e-dasht
ek chingari uḌi saara ka saara ban jala
dil jo tha siine men bach sakte the kab ahl-e-ḳhirad
shahr men ik shor tha daman jala daman jala
dil-dukhon ki ḳhaak par ki shab-nashini maah ne
din kabhi nikla to ik suraj sar-e-madfan jala
tirgi ki andhiyan uThti rahin har nuur se
ik charagh aisa hai siine men ki be-roghan jala
rafta rafta ho ga.e dast-e-talab ahl-e-junun
raston par sab liye baiThe hain ik daman jala
ghuT ke rah sakti thi kab tak atish-e-rang-e-bahar
zarb-e-mausam bhi kuchh aisi thi ki sab gulshan jala
jal gaya to kya hua aḳhir to main kundan hua
ham-nashin daman ki kya jab man jala daman jala
Leave a Reply