ab is saada kahani ko naya ik moḌ dena tha
zara si baat par ahd-e-vafa hi toḌ dena tha
mahakta tha badan har vaqt jis ke lams-e-ḳhush-bu se
vahi gul-dasta dahliz-e-ḳhizan par chhoḌ dena tha
shikast-e-saz-e-dil ka umr bhar matam bhi kya karte
ki ik din hanste hanste saz-e-jan hi toḌ dena tha
safar men har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamen in ablon ko phoḌ dena tha
ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah ga.e aḳhir
lahu ki aanch men TuuTe dilon ko joḌ dena tha
vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paiman ka
kitab-e-zindagi ke is varaq ko moḌ dena tha
banaya hi nahin ham ne kabhi ye soch kar ‘anjum’
ki gautam ki tarah ik din hamen ghar chhoḌ dena tha
Leave a Reply