• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kitne Dil TuTe Hain Duniya Ka KHabar Hone Tak

Kitne Dil TuTe Hain Duniya Ka KHabar Hone Tak

kitne dil TuuTe hain duniya ka ḳhabar hone tak

kitne sar phuTe hain divar men dar hone tak

ek kanTa jo nikalta hai to sau chubhte hain

amn tha hausla-e-fikr-o-nazar hone tak

ham ne apne se bhi sau baar mohabbat ki hai

haan magar dil men kisi shoḳh ka ghar hone tak

ab kahin raqs-e-junun hai to kahin naghma-e-ḳhun

kitni suuni thi faza zer-o-zabar hone tak

aaj sunta huun vahi naqsh-e-qadam chumte hain

jo bahut ḳhush the mire shahr-badar hone tak

ankhon ankhon men bhi kaT jaa.e to ham raazi hain

ye andhere hai bas ik raat basar hone tak

jab jhulas dega zamana to na ummid na yaas

shaḳh ko ḳhauf hai be-barg-o-samar hone tak

is qayamat ka jo puchho to koi naam nahin

ham pe jo biit ga.i tum ko ḳhabar hone tak

ik kiran phuTegi ik shoḳh hava sankegi

isi ummid men jaage hain sahar hone tak

aur ik nara-e-mastana ki mahfil jaage

aur ik jaam zamane ko ḳhabar hone tak

un ke honTon pe vo ma.asum tabassum ki shaguft

sho.la-e-narm bani lams-e-nazar hone tak

meri barbadi bhi ik hashr hai lekin ‘zaidi’

irtiqa raqs men hai hashr-e-digar hone tak

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Talash-E-Yar Mein Guzri Hai Zindagi Tanha

bashir-badr

Khushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein

ada-jafarey

Waise Hi Khayal Aa Gaya Hai

Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein

poet

Bahaar Aai Hai Phir Wahshat Ke Saman Hote Jate Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet