ab guzar ja.ega ye saal bhi lamhon ki tarah
beTiyan aa.i hain sasural se pariyon ki tarah
us se chahen bhi to daman ko chhuḌa sakte nahin
zindagi ham pe musallat hai rivajon ki tarah
qahat-sali ki kare kaun bayan shan-e-varud
sab pareshan hain ujḌe hue kheton ki tarah
jo diya ḳhun-e-riyazat to hue hain taḳhliq
saare sheron se mujhe pyaar hai bachchon ki tarah
is ko tum apni vafa ka na karishma samjho
yuun bhi mil jaate hain kuchh log faqiron ki tarah
mar ke bhi mera tashaḳhḳhus na koi chhin saka
ilm banTa na gaya mere asason ki tarah
‘jan’ phir kar ke kisi roz ye uḌ ja.engi
beTiyan baap ke angan men hain chiḌiyon ki tarah
Leave a Reply