ab dam-ba-ḳhud hain nabz ki raftar dekh kar
tum hans rahe ho halat-e-bimar dekh kar
sauda vo kya karega ḳharidar dekh kar
ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar
allah tere haath hai ab abru-e-shauq
dam ghuT raha hai vaqt ki raftar dekh kar
deta kahan hai vaqt paḌe par koi bhi saath
ham ko musibaton men giraftar dekh kar
aate hain mai-kade ki taraf se janab-e-shaiḳh
sargoshiyan hain laghzish-e-raftar dekh kar
ghairon ne ghair jaan ke ham ko uTha diya
baiThe jahan bhi saya-e-divar dekh kar
aate hain bazm-e-yaran men pahchan hi gaya
mai-ḳhvar ki nigah ko mai-ḳhvar dekh kar
is madh-bhari nigah ki allah-re kashish
sau baar dekhna paḌa ik baar dekh kar
tum rahnuma-e-vaqt sahi phir bhi chand gaam
chalna paḌega vaqt ki raftar dekh kar
vaqt-e-sahar guzar ga.i kya kiya na puchhiye
gardan men un ki sukhe hue haar dekh kar
talchhaT mila ke deta hai rindon ko saqiya
saghar paTak na de koi hoshyar dekh kar
‘bismil’ ko kya hai chadar-e-rahmat rasul ki
saaye men le hi legi gunahgar dekh kar
Leave a Reply