ab chand nahin koi sitara nahin koi
shab itni andheri hai ki nikla nahin koi
har-chand nazar aati hai divar-e-tamanna
chahen ki thahar jaaen to saaya nahin koi
chehron ko ye gham hai koi aina nahin hai
aina tarasta hai ki chehra nahin koi
jis se bhi milo dekh ke rah jaata hai munh ko
aisa bhi nahin hai ki shanasa nahin koi
arman tumhen fasl-e-gulistan ka hai ‘fakhir’
shakhon pe yahan phuul to khilta nahin koi