ab aur daman-e-dil tar-tar kya karte
alam-nasib umid-e-bahar kya karte
samajh liya tha sar-e-sham tum na aaoge
tamam raat bhala intizar kya karte
subuk-ḳhiram the sab shahrah-e-resham par
ye mauj-e-ḳhun mili jin ko vo paar kya karte
thi jab nasib men avargi bagulon ke
bikhar na jaate jo misl-e-ghubar kya karte
hadaf banate kise kaj-kulah phir aḳhir
junun-pasand na hote to daar kya karte
vo nik.hat-e-gul-e-tar ban ke dil men Thahra tha
tamam shahr ke zohra-nigar kya karte
ye jante the ki bijli vahin pe girni hai
to us se rahm talab baar baar kya karte
dar-e-qubul hi jis ko na yaad rah paaya
use duaon men apni shumar kya karte
jhapakne paa.en na palken tamam shab ‘az.har’
ab aur dida-e-ḳhu-naba-bar kya karte
Leave a Reply