aate haiñ kitne ḳhvāb tire roz-o-shab mujhe
vahshat sī hone lagtī hai koī ajab mujhe
tum ko maiñ gar qubūl huuñ aise hī Thiik huuñ
aatā nahīñ sañvarne kā koī bhī Dhab mujhe
zālim hai bādshah ki hai sab pe furāt band
mahsūs ho rahe haiñ sabhī sūkhe lab mujhe
bas kuchh dinoñ kī baat hai maiñ lauT ā.ūñgī
hargiz sadā na de koī pīchhe se ab mujhe
ye dekhnā hai kaun mirā is jahān meñ
yāqūb kī to āñkheñ atā kar ai rab mujhe
vo shaḳhs jab ki ab to mirī dastaras meñ hai
karnī nahīñ hai aur kisī kī talab mujhe
bāñdī kī tarah qaid huuñ us ke huzūr maiñ
vo bādshah hai aur milegā hī kab mujhe