aata huun jab us gali se sau sau khvari khinch kar
phir vahin le jaae mujh ko be-qarari khinch kar
pahuncha hai ab to nihayat ko hamara hal-e-zar
la use jis-tis tarah tasir-e-zari khinch kar
koh-e-gham rakhti hai dil par is khiram-e-naz se
khajlat-e-raftar-e-kabk-e-kohsari khinch kar
kis ke shor-e-ishq se yuun rota rahta hai sada
naala o fariyad ye abr-e-bahari khinch kar
bandhun huun varastagi ka dil men apne jab khayal
bandh le jaaen hamen zulfen tumhari khinch kar
kal jo tu ghar se na nikla uth gaya kar ke dua
subh se ta-sham main kya intizari khinch kar
galiyan de maar le ya qatl kar mukhtar hai
laai ab to yaan mujhe be-ikhtiyari khinch kar
saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jaam
aaya huun yaan main azab-e-hoshyari khinch kar
‘hasrat’ us ki bazm ke jaane se rakh mujh ko muaaf
muft men roega vaan se sharmsari khinch kar
Leave a Reply