asuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha
vo kaun sa tha vaar jo mujh par na hua tha
chashm-e-sitam-ijad ki vus.at ke muqabil
ye tegh to kya charḳh-e-sitamgar na hua tha
palkon hi pe taḌpa vo mire soz-e-darun se
jo ashk abhi baḌh ke samundar na hua tha
jab tak ki na dekhi thi nigahon ki karamat
main munharif-e-bada-o-saghar na hua tha
jab tak na tha shah-e-rag pe paḌa saya-e-abru
main vaqif-e-shirini-e-ḳhanjar na hua tha
kya janen nazar aaya hai kya rang-e-mohabbat
itna kabhi muztar dil-e-muztar na hua tha
ai ‘taj’ ajab josh uTha bahr-e-karam men
ik harf-e-dua bhi to mukarrar na hua tha
Leave a Reply