aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak
sabr bhi chahiye ab us men asar hone tak
gar baqa ki hai tamanna to fana kar khud ko
biij sahta hai sitam kitne shajar hone tak
rab ki takhliq pe angusht-ba-dandan hain malak
marhale dekh le mitti se bashar hone tak
bakhiya-gar chak-e-gareban ki ho tadbir koi
huun tiri dast-nigar apna hunar hone tak
ishq men bar-sar-e-paikar khirad aur junun
marg be-maut hai ab maarka sar hone tak
vo tiri yaad ke aansu the jo bahne na diye
chashm viran men ruke shahr-badar hone tak
main bhi ban jaun shab-e-gham koi nanha bachcha
jo ki kho jaata hai khvabon men sahar hone tak
the jigar qalb-o-nazar zad-e-safar jab ‘shazi’
khauf-e-tanhai tha kyuun izn-e-safar hone tak
Leave a Reply