asman khinch ke dharti se mila sakta hai
meri janib vo kabhi haath baḌha sakta hai
shah-zadi jo kabutar hai tire hathon men
do qabilon ko tasadum se bacha sakta hai
apne kandhon se utara hi nahin zad-e-safar
phir se hijrat ka mujhe hukm bhi aa sakta hai
chahta hai jo mohabbat men taramim na.i
meri avaz men avaz mila sakta hai
band kamre men hai tanha.i kahan tak meri
khiḌkiyan khol ke dekha bhi to ja sakta
koi kitna bhi ho kam-zarf-o-gunahgar magar
ek pyase ko vo paani to pila sakta hai
is liye ba.ad men uTTha huun main sab se ‘sahir’
vo ishare se mujhe paas bula sakta hai
Leave a Reply