aseb-sifat ye miri tanhai ajab hai
har samt tiri yaad ki shahnai ajab hai
ik bichhde shanasa se mulaqat ke ba-vasf
bikhre hue lamhon ki shakebai ajab hai
ab silsila-e-ranj-o-mehan tuut bhi jaae
is baar to kuchh tarz-e-pazirai ajab hai
ab mujh pe khula apne dar-o-bam ka afsun
yuun hai ki mire ghar ki ye tanhai ajab hai
suraj se utarte hain mire har-bun-e-mu par
ankhen bhi rakhun band to binai ajab hai
har din sitam-ijad hai har raat siyah-fam
yarab ye tiri anjuman-arai ajab hai
pighla hua sona thi jo divar-o-saqaf par
vo dhuup ghadi bhar men hi kajlai ajab hai
nas nas men phisalta hai tire qurb ka nashsha
har mauja-e-khun-nab ki gahrai ajab hai
Leave a Reply