aarzu ne jis ki poron tak tha sahlaya mujhe
ḳhaak aḳhir kar gaya us chand ka saaya mujhe
ghup-andhere men bhi us ka jism tha chandi ka shahr
chand jab nikla to vo sona nazar aaya mujhe
aankh par tinkon ki chilman honT par lohe ka qufl
ai dil-e-be-ḳhanaman kis ghar men le aaya mujhe
kis qadar tha mutma.in main peḌ ke sa.e-tale
chandni mujh par chhiḌak kar tu ne bahkaya mujhe
main bisat-e-gul ko tarsa umr bhar ‘anvar-sadid’
aaj phulon par luTa kar kyuun hai taḌpaya mujhe
Leave a Reply